Jis Shaks Ko Moula Tera Irfan Nahin Hai
Be Hub-e-Ali Jism To Hai Jaan Nahin Hai
Moula’ee Hoon Isvaste Tanvir-e- Ali Se
Abaad Hai Marqad Mera Veeran Nahin Hai
Imdad Ko Aate Hain Ali Jab Bhi Pukaroon
Moula Mera Mujse Kabhi Anjaan Nahin Hai
Asghar Ke Tabbasum Pe Ye Kehte’the Sitamgar
Kam Zarbat-e-Hyder Se Ye Muskaan Nahin Hai
Jo Ashk-e-Aza Saat Hain Bakshish Ko Hamari
Ab Is Ke Alawa Koi Samaan Nahin Hai
Ashk-e-Gham-e-Shabbir Hain Jab Khuld Ki Khimat
Is Saude Me Apna Koi Nuqsaan Nahin Hai.
Aghyaar Ki Chowkhat Pe Kabhi Sar Na Jhukana
Is tarha Ke Jeene Me Koi Shaan Nahin Hai.
Tu Majlis ‘O’ Matam Ka Muqalif Hai To Sunle
Bakshish Ka Teri Hashr Me Imkaan Nahin Hai.
Rone Ko Jo Bidat Kahe Shabbir Ke Gham Me
Wo Kufr Ka Paikar Hai Musalmaan Nahin Hai.
Jab Zaanu-e-Sheh Milgaya Tab Jaoun Ye Bola
Ab Aur Mujhe Jeene Ka Armaan Nahin Hai.
Kirdaar Sohail Uska Agar Ho Na Misaali
Ye Sheh Ke Azaadaron Ki Paichaan Nahin Hai.
Categories: Manqabat
Tags: Moula Ali(a.s.)