Jo Koi Saheb-e-Kirdaar Nahin Ho Sakta
Phir Wo Shabbir Ka Ghum Qaar Nahin Ho Sakta
Run Se Jo Bhage Wo Farrar To Ho Sakta Hai
Haan Magar Hyder-e-Karrar Nahin Ho Sakta
Jo Dare Aale Mohammed Pe Jhukade Sar Ko
Wo Kabhi Haq Ka Khatawaar Nahin Ho Sakta
Hai Yaqeen Iska Wo Jannat Mujhe Dilwayega
Ashk-e-Gham Hai Kabhi Bekaar Nahin Ho Sakta
Ek Jhatke Me Ukhade Jo Dar-e-Qaibar Ko
Wo Bajuz Hyder-e-Karrar Nahin Ho Sakta
Wo Bud Atwaar Jo Hota Hai Munafeq Yaaro
Wo Adakaar Azadaar Nahin Ho Sakta
Boliye Dekh Ke Asghar Ke Tabbassum Ki Taraf
Kya Tabbassum Kabhi Talwaar Nahin Ho Sakta
Yun Bohath Guzre Zamane Me Sana khan-e-Ali
Haan Magar Meesum-e-Tammaar Nahin Ho Sakta
Karde Mansoob Agar Abed-e-Muztar Se Koi
Uska Bachha Kabhi Bimaar Nahin Ho Sakta
Jinko Shabbir Se Nisbat Ho Zamane Me Sohail
Gardishoun Main Wo Giraftaar Nahin Ho Sakta
Categories: Manqabat
Tags: Imam Hussain(a.s.)