Shahe Lafata Dilawar Aaqa Ghulam Aa’ye

Shahe Lafata Dilawar Aaqa Ghulam Aa’ye
Liye Aas Tere Dar Par Aaqa Ghulam Aa’ye

Ho Tumhi To Kulle Imaan Hai Tumhara Deen Pa Ehsaan
Aye Rasool-e-Haq Ke Dil Bar Aaqa Ghulam Aa’ye

Tere Aane Ki Khushi Me Hue Do Jahan Munawar
Diye Aas Ke Jalakar Aaqa Ghulam Aa’ye

Tu Hi Raziq-e-Jahan Hai Tu Hi Sob Par Meherbaan Hai
Liye Ilteja Zubaan Par Aaqa Ghulam Aa’ye

Hame Hoye Fikr Kyun Kar Ke Tum Hi Ho Meer-e-Kausar
Liye Tashnagi Ke Saghar Aaqa Ghulam Aa’ye

Jo La Walad Hain Aaqa Unhe Tera Hai Sahara
Aulaad Unhe Ata Kar Aaqa Ghulam Aa’ye

Tumhe Waasta Khuda Ka Zainab Ki Us Rida Ka
Jo Hai Deen Ke Aaj Sar Par Aaqa Ghulam Aa’ye

Tum Hi Dard Ka Ho Darma Tum Hi Bekasoun Ke Daata
Haajath Hum Apni Lekar Aaqa Ghulam Aa’ye

Mili Unko Daulat-e-Deen Wo Phire Kabhi Na Khaali
To Faqeer Hum Bhi Bankar Aaqa Ghulam Aa’ye

Ho Amee Bhi Aur Saqi Bhi Tum Hi Waris-e-Nabi Bhi
Ye Hi Subho Shaam Sunkar Aaqa Ghulam Aa’ye

Ho Agar Tera Ishaara To Palat Ke Aaye Suraj
Tu Banade Ab Muqadar Aaqa Ghulam Aa’ye

Ye Sohail Tere Dar Ka Hai Faqeer Ek Adna
Tu Ata Ka Hai Samandar Aaqa Ghulam Aa’ye

Categories: Manqabat

Tags: